About Me

WordPress Developer And Forentend Developer.

Me Tanmoy Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley of type and scrambled it to make a type specimen book It has survived not only five centuries.

Brithday 19-12-1992
Call +12584789354
Email example@domain.com
Website www.example.com
Download CV Hire Me

My Skill

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit. Magnam odio vel, doloremque dignissimos, doloribus esse ullam. Voluptatibus, veritatis quas. Incidunt deserunt eius harum a dolorem. Debitis, optio. Magnam cupiditate, adipisci?

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit. Magnam odio vel, doloremque dignissimos, doloribus esse ullam. Voluptatibus, veritatis quas. Incidunt deserunt eius harum

PHP
HTML5 & CSS
AngularJS
SEO

My Services

What i offer

Theme Design

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

Website Design

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

UI/UX Design

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

Graphic Design

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

Support

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

SEO Marketing

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley

1001

Happy Clients

250

Projects Done

150

Awards Won

1500

Cups Tea

My Portfolio

What i do
  • All
  • Travel
  • Photograph
  • Foods

My Experience

My Recent Experiences
Apr 2015 - Mar 2016
Software Engineer

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Vestibulum mattis felis vitae risus pulvinar tincidunt. Nam ac venenatis enim. Aenean hendrerit justo sed.

Apr 2016 - Mar 2017
Web Developer

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Vestibulum mattis felis vitae risus pulvinar tincidunt. Nam ac venenatis enim. Aenean hendrerit justo sed.

Apr 2017 - Present
Frontend Developer

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Vestibulum mattis felis vitae risus pulvinar tincidunt. Nam ac venenatis enim. Aenean hendrerit justo sed.

My Blog

Latest blog

12 Beauty Tips in Hindi for Face in Summer

Glowing skin ka sapna har ladki ka hota hai...kuch ladkiya ki skin itni saaf hoti hai jise dekhkar lagta hai ki kash humri skin bhi aise glowing hoti...
aap bhi aise skin paa sakti hai bus uske liye aapko thodi mehnat karni hogi..sabse pahli dhayan dene wali bat ye zayada cosmetic ka upyoog karne se aapki skin kharab hone ka bhi khatra rahta hai..
isliye cosmetic ka upyoog kam se kam kare..or upyoog karne se pahle uski expire date zarur janch le..or cosmetic hamesha achi company ki hi upyoog kare..
too chaliye jante hai --

1. khub pani pijiye or andar se tarotaja rahiye..isse sharir se gandagi bahar nikalti hai or body me bhi naye cells bante hai...

2. aapko har din do glass juice awshya pine chahiye..isse skin me poshan pohchega or skin glow karegi...

3.aap office ke kaam ki wajah se der raat tak jagti hai , or subha aapki nind puri nahi ho pati too , isse aapki skin par asar padta hai..raat me kam se kam 8 ghante zarur sona chahiye..

4. santara aapki skin ke glow me bahut madad kar sakta hai..iska juice pijiye chahe iske chilke ko sukha kar iska paste banakr lagye ..yeh har tarah se skin ko chamakdar bnane me maddad karega...

5. twacha ko scurber karne se nayi twacha aati hai or purane daag dhabe halke padhne lag jate hai..hafte me ek
baar scurb zaruru karna chahiye...

6. mahine me 1 baar aapko apne chehre ka facial karwana chahiye...agar aap ise regular kiya jayega to aapki twacha fresh , healthy or young dikehgi.. aagar aap parlour jakar facial nahi kara sakte hai too ghar par hi pahle scurb karke cream se massage kare... 

7. nimbu ko chehre par lagane se daag dhabbe dur hojate hai or twacha me ek chamak aajati hai...

8. green tea ko thodi der pani me bhigokar rakh de fir chehre par lagaye ..chehre ka kalapan dur ho jayega...

9. raat ko chehre par gulaab jal lagakar saaf kare..thandak ke sath twacha chamak jayegi...

10. chehre par bleach ka prayog nahi kare bilkul bhi...yeh us samay too chehre ko saaf kar deta hai par bleach bhavishya me isse aapki twacha ko kharab bhi kar hi deta hai... nimbu ko shahad ke sath milakar lagaye...

11. aate ko halka sa pani milakar chehre par lagaye ..15 - 20 minat ke liye chod de fir thande pani se chehra saaf karde..isse dead skin nikal jayegi...

12. chehre par hone wale dhaboo or sunburn par kaccha aalu chilkar halke hatho se ragde fir thande pani se dhole...
                     Health tips for summer

missaaharshi.com


Garmiyo me swastha kayi pareshaniya hoti hai..garmiyo ke aate hi elergy , ghamoriya , sunburn , jaise kayi bimariya panapne lagti hai..aise me zaruri hai ki mausam me subha ka nashta aisa kiya jaye jo poshtik ho..
sath hi garmiyo me health tips apnana bhi zaruri hai jisse nahi sirf elergy se bacha ja sakta haaaaaaaaaaaaai balki healthy bhi rakha ja sakta hai...aaye janiye garmiyo ke health tips..

1. garmiyo me swastha rahne ke liye zaruri hai ki aap adhik se adhik lagbhaaaaaag 13-14 gilas pani piye..

2. subha nashta aisa ho jo light or healthy ho...

3. garmiyo me vyayaam karna behad zaruri hai...

4. pure din saade pani ke sath sath nimbu pani bhi piye...

5. dohpar ko khana ke time par khaye or halka kare , jisse apko garmi bhi kam lage or khana pachne mebhi asani ho..

6. teliya khagh padartho ko kam se kam khaye or taje falo wa taaje juice ko khub piye..

7. subha subha isnan karne or tahalne se bhi aapme chusti fursti rahti hai...

8. bahar se aate hi ekdum se thanda thanda pani nahi piye...

9. dahi , chah  ya mitha sharbat ka sevan samay samay par karte rahe ya fir pani me glucose dalkar bhi le sakte hai...

10. garmi ke mausam me tarbuz , santre , kelaa , hari kakdi aadi khana acha rahta hai...



         11 Natural Ways to Grow Hair Faster

 

                               


 In gharelu nuskho ko apnaye balo ko teji se badaye...

 kon nahi chahta ghane , mulayam , kale baal...balo se hi to apka style statement banta hai.. hair style uski sundarta or vytiktaw me char chand laga dete hai... 
lekin lifestyle ke karan balo ki samasya se koi bhi achuta nahi hai...balo ki samasya ke liye humari jivansheli kafi had tak jimmedar hoti hai..aamtor par har mahine balo ki lambai lag bhag 1.25 centimeter badti hai... 
lekin agar aapke baal nahi badte hai to yaha diye prakratik tarike apki madad kar sakte hai....

.Andaa - 

ando se mojud poshak tatwa sharir ki nahi balo ke liye bhi labhdayak hote hai...ande me prachur matra me protien , celenium , fasforas , zinc , iron , sulfur or ayodin hota hai jo balo  ko jhadne se bachata hai...
ye poshak tatwa balo ko lamba karne me bhi madadgaar hote hai..ande ki safedi mw thoda sa jetun ka teel wa shahed ko ache se milakar is paste ko apne balo me lagakar ek ghante ke liye chod de..fir ise shampoo se ache se dhole ..isse balo ko zaruri poshan mil jata hai jo unki growth badane me madad karta hi...

.Aanwla - 

balo ke liye aanwle ko kayi tarah se istemal kiya jaa sakta hai.. aap iska sevan kare ya na kare fir ise balo me lagale... 
aanwle me cerotinaided jaise poshak tatwo ki mojudgi balo ko badane ne sahayak hoti hai..agar apke baal kale nahi hai to annwla or ritha ka powder lagaye.., baal kale ho ya jaynge..aanwle ka juice ko saptah me ek baar balo me lagane se bal tezi se badne lagte hai...

.Masaaj - 

balo me teel se masaaj balo ko lamba karne ka sabse acha prakratik upaye hai..masaaj karne se pahle teel ko halka sa garam kar isse balo me masaj kare..masaaj karne se sir ki twacha me rakat sanchar sudharta hai , jisse balo ko poshan milta hai..iske sath hi isse bal mazbut or ghane hote hai..iske liye sarso or nariyal ke tel ka istemal kiya jaa sakta hai..sarso ke tel ko halka gunguna karke nahane se pahle sir par malish kare , aadhe ghante tak teel ko laga rahne de or badme dhole..saptah me ekbar oil masaaj zarur kare..

.mehandi - 

mehandi balo ke liye natural conditioner hai..mehandi ka pack lagane se baal mazbut or ghane bante hai..mehandi balo ko jad se mazbut or ghana banatai hai..ek cup mehandi powder me adha cup dahi ko ache se milakar ise karib doo ghante ke liye aise hi chod de...iske baad is paste ko skelap par lagaye,...sukh jane par ise dhole...

.gadhall -

gadhall ke fulo me iron , fasforas , calsium , raiboflobin , thiyamin , niyasin , vitamin -c paya jata hai.. 
gadhal ke taje fulo ka ras me jetun ka tail barabar milakar aag par pakaye , jab pani bilkul sukh jaye to ise shishi me bharkar rakhle...
rojana nahane ke baad ise balo ki jado me ache se mulkar lagana chahiye...isse bal chamkile hokar lambe hojate hai...

                      Top beauty tips for hair

Sundar or mazbut balo ke liye log kya kya nahi karte...alag alag tarah ke shampoo , conditioners ka istemaal kar balo ko khubsurat banane ki koshish karte hai...
halaki kayi research is baat ka dawa karte hai ki bajar me milne wale hair product chemicals se bharpur hote hai or  ye ballo ko nuksan phuchate hai...
aise me ballo ki sehat sudharne ke liye prakratik or gharelu tariko ka sahara liya ja sakta hai ..aaj hum apko aise hi kuch upaaye ke bare me banate wale hai...

.ghar par bane shampoo ka istemal -

shampoo ghar par bhi banaye ja sakte hai..kam chemical wale or gharelu hone ke naate ye ballo ko kam nuksan phuchate hai..iske liye ritha , aanwla , shikakayi ko raat bhar ke liye pani me bhigokar vhod de.. subha ise ubalkar thanda karle..baad me aap iske vegitative meatter ka istemal shampoo ki tarah kar sakte hai....

.baloo ke liye gulabjal - 

dry hairs ki samasya se nijat pane ke liye yeh ek kargar upaye hai...iske liye gulabjal ko balo ki jadoo me lagaye...
oliv oil , shahad or pise huye papite ke mishran se tyaar gharelu shampoo bhi baloo ke rukhepan se nijat dilane me kamyab ho sakte hai....

.multani mitti bhi kargar - 

balo me zayada matra me sibam ka istemal bhi nuksandeh hai..aise me multani mitti isse nijat dilane me apki madad kar sakta hai...
iske liye multani mitti , aanwla , ritha , shikakayi ke mishran ko balo me lagaye or 40 minat tak isse shampoo kare...

.sone se pahle kanghi kare -

raat me sone se pahle kanghi karne ki adat aapke balo ko mazbut banati hai.. iske liye sone se 50 minat pahle balo me kanghi karna nahi bhule...
bahut se log balo me toliya laptane ki aadat rakhte hai ..yeh balo ko nuksan pahuchata hai.. gila toliya hairfall badha sakta hai...





     Chamakta chehra pane ke liye beauty tips

apne chehre par glow chahte hai in beauty tips ko aap niyamit aajmaye , aapka chehra bedag or aakarshak lagne lagega...

1. twacha ki safayi ke liye kabhi kabhi kacha pyaj khana chehre ke liye acha hota hai..isse chehre ke daag dhabbe ke kam hone me bhi madad milti hai...

2. fresh dikhne ke liye ankho ko aaram dena behad zaruri hai..zayada der tak computar ke samne bethne walo ko thodi der baad khidki ke bahar ya dekhne chahiye ki wah ankho ki halki - fulki exercise karna chahiye , isse ankhe ko aaram milta hai....

3.chehre par mask lagane se chehre ki twacha par mojud murt koshikaye hat jati hai..
isse chehra sundar hota hai wa skin bhi tight hoti hai or jhuriya bhi kam hojati hai..

4. sanan karne sebhi chehre par ronak ajati hai.. halanki 10 minat se zayada der tak nahi nahana chahiye zayada der tak nahane se bhi twacha ki nami ghatti hai...garam pani se der tak nahane se twacha par laal dhabbe bhi pad sakte hai..

5. dohpar ke samay lagbhag har kisi ko nind aane lagti hai..kaam ke bich samay me se 5 minat nikalkar bhi ankhe band kare , to yeh fayedemand hota hai..isse nahi sirf dhayan kendrit karne me madad milti hai balki rakat me serotin hormons ka staar bad sakta hai..yeh harmons khushi ke ehsas ke liye zimmedar hota hai...

6. dinbhar ki thakan utarne me taja hawa madad karti hai..thodi der chalna ya halki fulki exercise se bhi chehre par ronak aati hai..britain ki exses university ke mutabik isse insan halka bhi mahsush karta hai..nile asman or hariyali ke bich dimag me tajgi aati hai...

                       Healthy tips in h

bhartiya sanskarti me jine ke kuch aise tor tarike hai jinka hum kayi pidiya se palan karte aa rahe hai...
jaise upwas karna , uthne or bethne ke dhang , or pani bharkar rakhne ke liye tambe ka bartan ka prayog karte hai....

.tambe ke bartan ka pani piye -

tambe ke bacteriya - nashak gunoo me medical science badi gehri ruchi le raha hai .. pichle kuch varsho me kayi prayog huye hai or vaygyaniko ne yah malum kiya hau ki pani ki apni yaddashat hoti hai - yeh har us chij ko yaad rakhta hai jisko yeh chuu leta hai... pani ki apni smaran shakti hone ke karan hum is baat par dhyana dete hai ki usko bartan me rakhe...
agar aap pani rtko bhar ya kam se kam char ghante tak tambe ke bsrtsn me rskhe to yeh tamba kuch gunn apne me sama leta hai....
tambe ke bartan se pani piye yeh pani khas tor par apke livar ke liye or aam tor par apki sehat or shakti sufurti ke liye uttam hai..agar pani badi teji ke sath pump hokar anginat modo ke chakkr lagakar lohe ya plastic ki pipe ke sahare apke ghr tk phuchta hai to in sab modo se ragadte takrate gujarne ke karan usme kafi dosh aa jata hai.. lekin pani me yaddashta ke sath sath apne mul rup me wapas phuch pane ki shakti bhi hai agar ap nul ke is pani ko ek do ghante tak bina hilaye dhulaye rakh dete hai to dosh apne ap khatam hojata hai.....

.sharir ko nind nahi aaram de

aap sone kis waqt jate hai yeh to apke life style par nirbhar karta hai , lekin mahatw is batka hai ki apko kitne ghante ki nind ki zarurat hai..aksar kaha jata hai ki din me aath ghante ki nind leni chahiye ..aapke sharir ko jis chij ki zarurat hai wah nind nahi hai , wah aram hai ..
agar ap pure din apne sharir ko aram de , agar apka kam , apki exercise sab kuch apke liye ek aaram ki tarah hai to apne aap hi apki nind ke ghante kam hojayenge..log har chij tanav me karna chahte hai mene dekha hai ki log park me tahalte waqt bhi tanav me hote hai ..ab is tarah ka vyayam to apko fayede ki bajaye nuksan hi karega , kyoki aap har chij ko is tarah se le rahe hai jaise koi jung lad rahe ho..aap aaram ke sath kyo nhi tahalte ? chahe tahalna ho ya joging , use puri masti or aaram ke sath lyo nahi karte ?

too sawal ghumfirkar wahi ata hai ki mere sharir ko kitni nind ki zarurat hai yeh is bat par nirbhar hai ki ap kis tarah ka sharirk sharm karte hai...
aapko to na bhojan ki matra tay karne ki zarurat hai or nahi nind ke ghanto ki...mujhe itni caleroes hi leni hai ..mujhe itne ghante ki nind hi leni hai , jivan jine ke liye ye sab bekar ki bate hai...aaj aap jo sharirik sharm kar rahe hai , uska staar kam hai , to aap kam khaye ..kal agar apko zayada kam karna hai to aap zayada khaye..nind ke sath bhi aisa hi hai..
jis waqt apke sharir ko pura aaram mil jayega , yah uth jayega chahe subha ke 3 bjae ho ya 8.. aapka sharir alaram ki ghanti bajne par nahi uthna chahiye ek bar agar sharir  aram kar leta to use khud hi jag jana chahiye....



Top 10 Natural Beauty Care Tips for Face and Glowing Skin


             


.C

hehre ko bnaye bee daag -

Agar chehre pe daag dabhhe hai too pareshan na ho , kuch prakratik tariko se app unhe dur kar sakte..

..1- gulab jal , kesar , or chandan ka pest muhaso ke prakratik upchar me sabse upyogi hai..chandan apni shitalta ke liye jana jata hai ..ise sidhe hi yaa gulab jal or kesar me bhigokar pure chehre pe lagaye..muhaso se mukti milegi or twacha bhi nikhregi..iske alawa is pest se dark circle bhi dur hojate hai..

.Chehre ka kalapan dur kare - 

..1- roj ratko sone se pahle achi tarah se hath muh dhole..fir ache se nariyal ke teel se malish kare halke-halke hath se.. nariyal teel me acid or protein hota hai..jo ki rukhi twacha ko thik karta hai..iske alawa bhi dudh me shahad milakar malish kare..isko lgane ke baad 10 minitue tak rahnede.. fir thande pani se dhole..or kapde se halke-halke hatho se poche..isse kalapan dur hota hojata hai or twacha par nikhar ajata hai..

.Chehre se dur kare pimpals -

1.tooth paste ka istemal -

safed tooth paste ko sukhakar agar pimpal par  lagaye jaye too yah rambad ka kaam karta hai..darasal , tooth paste me zinc ki matra kafii aadhik hoti hai , joo pimpals ke nishan ko jaladi hi khatam kar deti hai...


2.Raai ka upyog-


teen chammach raai ko thode se pani me ratbhar bhigo de.. subha use piskar uska pest bnale.. fir chehre pe lagaye  or 20 mintue tak rakhne ke baad chehra dhole..


3.jamun ki guthali-

 jamun ki ghuthli ko pani ke sath ghiskar muhaso par lagana chahiye..


4.kacha allu -

kache allu ko kis kar chehre pe lagane pimpals dur hojate hai..


5.Green tea -

 Green tea ko ice cube ke sath chehre pe lagane se pimpals dur hote hai..



6.santaro ka chilka -

 santre ke chilke ko chaya me sukhakar uska churan banale.. gulab jal ke sath milakar pest banaye..ise chehre par lagakar rakhe fir muhh dhole..




Here are the top 10 home remedies for wrinkles

. Jhurriyo ko dur karne ke upaye -

jurriya  inke karan sabse zayada hoti hai..ezinc free redicals , dhup me rahne , tanaav , poshan ka kam hona , jenetics , dihaidrations , atmosphare , twacha ki dekhbhal nahi karna ..




.Jhurriyo ke lakshan -

 mathe par lakiro ka dikhna , ankho ke aas paas silwate nazar aana , honto ke paas mahin rekhaye dikhna..



.Multani mitti -

chehre par kasawat lane or mahin rekhayoo se chutkara pane ke liye multani mitti bahut fayedemand hai..



.Uuad ki daal -

uuad ki daal ko ratbhar dudh me bhigokar subha paste banale isko chehre par lagaye..samya se pahle aani wali ezinc se bachav hoga , or nikhar bhi aayega..


.Badaam ka teel -

badaam ka teel bhi jhurriya hatane me fayede mand hai ..roj raat me baddam ka teel se chehre ki masaaj kare isse aankho ke kale ghere bhi kam hojynge..


.Banana -

pake huye kele ko achi tarah masalkar cream jaise consisstesi banaye aadha ghanta chehre par laga rahne de saade pani se chehra dhole..chehre ko apne aap sukhne de..


.Milk powder - recipe -

Doo bade chammach shahad char baar bade chammach milk powderor doo bade chammach garam pani..sabhi ko milakar chehre or gardan par lagaye..shahad se chehre ka glow aata hai or milk powder se chehre smoth or rinkals free hojata hai is paste ko aap hafte me ek se doo baar upyog kar sakte hai..


.Ananaas -

ananaas me vitamin-c paya jata hai jo twacha ke liye bahut acha hai , khaskar jhurriyo wali twacha ke liye ananaas ke pulp ko 10 mintue chehre par lagaye or chehra dhole ananaas ka rus bhi istemaal kiya ja skta hai rus me circular motion me malish kare or kuch der baad chehra dhole jab tak chehra sukh nnn jaye use ragde nahi..

                    Top 10 hair tips


Mehandi , neem , or green tea jaise kayi harbes hai jinhe baalo par lagane se baal ghane or lambe hote hai..yadi aap kale , ghane or lambe baalo ko rakhna chahti hai too uske liye aapko khan-pan ki aadato me badlav karna hoga..isse baalo ko sampuran poshan milega baalo ke poshan se matlab hai baalo ki jadoo ko paryapat protein milna..baalo ki jad yani skelap jitni majbut hogi baal utne hi teji se growth karnge..baalo ka badna baalo ki jad ya hair folikal se shuru hota hai halaki baalo ki jadoo ko poshan dene ke liye niyamit teel ki masaaj zaruri hai iske alawa healthy food or saaf-safai bhi baalo ki growth me aaham bhumika hai...


Baalo ki lambayi badane or chamakdar bananne ke tarike:-

.arandi ke teel se masaaj -

Arandi ke teel me vitamin-e ke sath baalo ki growth ke liye zruri omega-9 fetty acid rahta hai..ise teel ke skelap ki masaaj karne se baal me kudrati tarike se labe or ghane hote hai waise arandi ka teel kaffi gaada hota hai agar iske sath badam ka teel mila liya jaye too yah or asardar hojata hai..


.Tanav se mukat rahe - 

Baalo ko jhadne-girne or tutne ki badi wajh tanav rahta hai yah mana jata hai ki tanav ki wajhse baalo ko badne ka joo samanya chakra hota hai wah ruk jata hai..


.Aloevera se baaalo ko poshan de - Alovera baalo ko badne me madad karta hai..alovera jel lagane se baalo ka jhadna or girna kam hojata hai ..


.Herbal sapliment alag se le baalo me -

santulit diet lene par bhi sharir me zruri tatwo ki kami rah jati hai..in zruri tatwo se twacha or baalo ko bhi poshan milta hai aap vitamins aadi sapliment ke toor pe le sakte hai..


.Ande -

baalo ko badane ke liye ande ka istemal karna zruri hota hai..isme paye jane wale tatwa jaise sulfar , foxfores aadi baalo ki lambai badane me madat karta hai..


.Healthy diets - 

lambe or ghane baalo ke liye diet me protien , vitamin or minerals hona zruri hai..apni diet me waise food ko shamil kare jisme vitamins A,B,C,E ke sath sath iron, zinc, megnisuim or selenium jaise tatwo ki achi matra mojud ho..isliye inhe apni diet me zarur shamil kare..


.baalo me laye chamak - 

shampoo karne ke baad baalo me pyaj ka rus lagakar kuch der tak rahne de..iske baad baalo ko achi tarah se dhole taki pyaj ki gandh dur hojaye agar aapko pyaj ki gandh pasand nahi hai too apple saider vinegar ka istemal bhi kar sakte hai..2 chammach vinegar ko ek liter pani me mila le shampoo ke baad isse baalo ko dhoye in dono ki upayo se baalo me chamak aayegi...


.kadii patta -kadiii patta ki chatni bnakr usse achi tarah se balo me lagye swasth ,lambe , ghane baalo ke liye asardar hota hai...

                    Top 5 food poisoning tips

Food poisoning akasar logo ko kuch bhi ulta sidha khane se hojati hai isse bachne ke liye kuch aise upaye kare..

.Banana -

keela khane bhi pet ke liye acha hota hai isme paye jane wale oxcidernt pet me livar ke liye ache mane jate hai food poisening hone par ek keela or ek apple ko achi tarah milakar khaye..din me char se panch bar iss mishran ko khane se food poisening se hone wali samasya dur hogi..



.Tulsi ka pani - 

tulsi ke patte ka istemal kayi tarah ke rogo me kiya jata hai food poisening ke sankraman ko thik karne ke liye tulsi ki chai pina fayedemand hota hai..iske liye 10-15 tulsi ki pattiya todle inhe doo cup pani dalkar ubale jab pani achi tarah se ubal jaye too ise thanda hone par chanle is pani ka sevan din me 2 baar kare is tarah ye pani pet dard dur karega..



.Methidana -

 agar food poisening me ulatiya bahut zayda ho rahi hoto methidana me ek chammach dahi milakar us mishran ka sevan kare isse ulatiya band hojati hai.. iske alawa aap mineral water me methidana dalkar bhi pi sakte hai..



.Jeera - jeera ek aisi chij hai jisse food poisening hone pe khaliya jaye too food poisening se turant rahat milti hai..jeera khane se sujan bhi kam hojati hai.. ise aise khaye jeere ko bhun lijiye or pani me milakar pi lijiye..



.Brown sugar - 

brown sugar food poisening me aayi huyi kamzorio ko dur karta hai..food poisening ke doran agar aap kamzori mehsus kare too ek chammach brown sugar khale..ise apko takat bhi milegi brown sugar se mera matlab hai guud se bani shakkar ya bhuni huyi shakkar hai..kahi app galat na samjhe ki brown sugar means drugs..

5 Quick and healthy exercise for busy people


.agar aap fit hi nahi hai to kam kaise karnge , isliye apni sehat ka dhyan rakhe - 


. peero ki sehat -

 sidhe khade hojaye aapke kandhe , kamar , or sina upar ki taraf uthe hone chahiye..ab per ke panjo ke bal aajaye or eediyo ko jitna upar utha sakte hai uthaye iske baad wapas purani isthiti me ajaye ..is exercise ko bhi 10 baar karle yeh exercise kaaf muscules ko majbut banakar unhe shape me lati hai..


.sikai rich - 

hatho ko sir ke upar le jaye or jitna zor se ho sake utna upar khiche yeh exercise aap ball ke sath bhi kar sakte hai teeji se ball ko niche farsh par fekne ka prayas kare..



.pusp ups -

push ups pet ke bul jaye hatho ko farsh par rakhe aapke dono hath kandho ke niche hona chahiye kamar sidhi rakhe ab apni kohniyo ko moode or sine ko farsh ke nazdik laye fir wapas usi isthiti me laut aye yeh ek push ups mana jayega is tarah 10 baar kare..sharir ke upari hisse ko khubsurat aakar me rakhna chahte hai too uske liye yeh badiya exercise hai..sath hi isse sina , kandha , or bajuu majbut hote hai..


.Jiraaf exercise -

sir ko aage ki taraf jhukakar sine se lagaye..4-5 second ruke fir sir ko same position me laye fir waise hi piche ki or bhi kare..gardan ko baayi or jhukaye or kan ko kandhe se lagaye 4-5 second ruke fir dahini or bhi kare fir normal position me aa jaye aisa 5 baar kare isse aapka shape me rahega..

.superwomen exercise -

yeh exercise humare kulhe ki sabsee badi maaspeshi glutus mecxismas ko majbut banakar, kulhe ko sahi aakar deti hai ..sath ki riid ki haddi ke liye bhi achi hoti hai ise karne ke liye pet ke bal let jaye or dono hatho ko ek per ko upar ki taraf le jaye ab ek hath or ek per ko upar ki taraf uthaye dusre per or hath se wahi kriya kare is exercise ko kam se kam 10 baar zarur rojana kare..




                  Tips to lose weight naturally




.Wanjan kam karne ke liye bas itna sa kare -

dieting se pahle sharir ke bare me jane - aap ek din lifestyle se judi bimariyo me sunne ko milta hai..ki wajan ko niymit rakhe visheshagyo ke anusar sehatmand vyakti tabhi swasath hone ki shreni me aata hai jab uska wajan samanya ho ( na zyda kam ho na zayda ) isse janne se pahle yeh samjha jaye ki aapka wajan ek jaisa hai ya usse aadhik hai iska pata in manko se lagay ja sakta hai..




.BMI - body maas index -

bmi se wajan or isse jude rogo ki pehchan karte hai bmi meter or uchai or vartaman wajan ke aadhar par pata chalta hai ki vyakti ka wajan samanya se aadhik hai ya kam hai char renj me yeh pariman hai..
1-18.5 se kam-underwait,
2-18-25-samanya,
3-25-30-mote,
4-30-40-adhyatik wajan,..

aise nikale bmi-vyakti ki lambai ko dugna kar vartman se bhag dekar bm wajan kilogram/uchai-metar me..
example-ke toor pe yadi aapka wajan 90 kilogram hai or aapka kaad 5 feet 1.5 meter hai too aapka bmi hai 90/1.5*1.5=40..




.dieting ke doran dhere-dhere kam kare wajan -

.Diet- 

diet me sharir se zyada celori fat me badal jati hai isliye kam se kam celori or carbohydrate wali chije le glaisemic index wali chije jaise sabut, anaaj, dal, ootmill, or jawar khaye protien or faiber se bharpur diet le..protein bhuk ko kam karta hai or faiber bed calostrol ko kam karta hai bharpur pani, fruits ka juice lete rahe..

.exercise - 

workout sheduel me wajan ka kam karne ke liye 60 kardiyo or ise barkarar karne ke liye 40 streing workout ko shamil kare..bris walk yaa jogiing se exercise ki shururwat motabalizam ko barkarar rakhti hai.. 




. teel ke fayede -

dil wa dant ko durusat rakhta hai ..till ke teel me paye jane wale faitoenyatriatens or antioxidents me calostrol ke awshoshand ko kam karta hai..iska staar sharir me niyamit rahne se hradya se judi bimariyo ka jokhim khaffi kam hojata hai sath hi thakawat ki samasya se bhi rahat milti hai muh se judi samasya jaise chale, badbuu aana, masudo me sujan, oral cavity me iska teel fayedemand hai..




.teej dimag - 

isme protien, calsium, or b-complex kam matra me hote hai..rojana lagbhag pachas gram till khane se sharir me calsium ki zrurat puri hoti hai.. 



Contact Me

Contact With Me

Lorem Ipsum is simply dummy text of the printing and type setting industry when an unknown printer took a galley of type

  • 9908B Wakehurst St.Rockaway
  • 990800113322
  • info@domain.com
  • www.yourinfo.com